Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

Faiz ul Hasan Khayal

jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

Faiz ul Hasan Khayal

MORE BYFaiz ul Hasan Khayal

    jab tak mizāj-e-dost meñ kuchh barhamī rahī

    goyā bujhī bujhī mirī zindagī rahī

    jis par nigāh-e-lutf-e-karam aap rahī

    hairat se har nigāh use dekhtī rahī

    go maiñ rahā kashākash-e-daurāñ se ham-kanār

    lekin mire laboñ pe hañsī kheltī rahī

    laayā hai ishq ne mujhe aise maqām par

    ḳhud-āgahī rahī na ḳhudā-āgahī rahī

    josh-e-junūñ ne manzil-e-maqsūd liyā

    aql-e-salīm dekhtī dekhtī rahī

    sab kuchh mujhe 'ḳhayāl' duniyā meñ mil gayā

    lekin tumhāre husn-e-nazar kamī rahī

    jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

    goya bujhi bujhi si meri zindagi rahi

    jis par nigah-e-lutf-e-karam aap ki rahi

    hairat se har nigah use dekhti rahi

    go main raha kashakash-e-dauran se ham-kanar

    lekin mere labon pe hansi khelti rahi

    laya hai ishq ne mujhe aise maqam par

    KHud-agahi rahi na KHuda-agahi rahi

    josh-e-junun ne manzil-e-maqsud pa liya

    aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi

    sab kuchh mujhe 'KHayal' ki duniya mein mil gaya

    lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi

    Source:

    Subh Ka Suraj (Pg. 140)

    • Author: Faiz ul Hasan Khayal
      • Edition: 1972
      • Publisher: Faiz ul Hasan Khayal
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now