Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab talak ishq ka afsana mukammal hoga

Syed Mujeebul Hasan

jab talak ishq ka afsana mukammal hoga

Syed Mujeebul Hasan

MORE BYSyed Mujeebul Hasan

    jab talak ishq afsāna mukammal hogā

    ek tūfān bapā zehn meñ har pal hogā

    dil dhaḌakne sadā itnī kahāñ hotī hai

    paas shor machātā koī pāgal hogā

    itnā āsān nahīñ dasht-e-tamannā safar

    kahīñ dariyā to koī rāsta daldal hogā

    tishnagī dasht sūrat hai laboñ par baiThī

    kab tirā haath mire vāste chhāgal hogā

    manzil-e-dard se bhī hogā guzarnā tujh ko

    tab kahīñ ke tirā aa.ina saiqal hogā

    āḳhirī sang-e-masāfat hai kahāñ kyā mālūm

    kyā ḳhabar kab ye safar apnā mukammal hogā

    dil ye kahtā hai chalo dekh aa.eñ chal kar

    aql kahtī hai ki darvāza muqaffal hogā

    us taraf khul ke barastā hai bahut abr-e-ḳhayāl

    chand lamhoñ meñ ilāqa mirā jal-thal hogā

    chāhte nahīñ iblīs siyāsat ke 'mujīb'

    mas.ala kaise ta.assub yahāñ hal hogā

    jab talak ishq ka afsana mukammal hoga

    ek tufan bapa zehn mein har pal hoga

    dil dhaDakne ki sada itni kahan hoti hai

    pas hi shor machata koi pagal hoga

    itna aasan nahin dasht-e-tamanna ka safar

    kahin dariya to koi rasta daldal hoga

    tishnagi dasht ki surat hai labon par baiThi

    kab tera hath mere waste chhagal hoga

    manzil-e-dard se bhi hoga guzarna tujh ko

    tab kahin ja ke tera aaina saiqal hoga

    aaKHiri sang-e-masafat hai kahan kya malum

    kya KHabar kab ye safar apna mukammal hoga

    dil ye kahta hai chalo dekh hi aaen chal kar

    aql kahti hai ki darwaza muqaffal hoga

    us taraf khul ke barasta hai bahut abr-e-KHayal

    chand lamhon mein ilaqa mera jal-thal hoga

    chahte hi nahin iblis siyasat ke 'mujib'

    masala kaise tassub ka yahan hal hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now