jab talak sanson ko bu-e-dilruba milti rahi
jab talak sāñsoñ ko bū-e-dilrubā miltī rahī
chārāgar se qalb-e-muztar ko davā miltī rahī
jis kisī se bhī vafā kī bas jafā miltī rahī
'umr bhar jurm-e-mohabbat kī sazā miltī rahī
ham guzarte haiñ vahāñ se thaam kar qalb-o-jigar
jis galī jis moḌ par vo mah-laqā miltī rahī
kitne nādāñ the ki us kī justujū karte rahe
jaane kis kis āshnā se be-vafā miltī rahī
zindagī bhar har ḳhushī bas buuñd bhar miltī rahī
har ghaḌī ranj-o-alam ban kar qazā miltī rahī
ham taḌapte hī rahe jis kī jhalak ke vāste
vo 'adū se khol ke band-e-qabā miltī rahī
'iid ke din bhī gale miltā nahīñ dilbar 'sahāb'
bāñhoñ meñ bhar-bhar mujhe ḳhalq-e-ḳhudā miltī rahī
jab talak sanson ko bu-e-dilruba milti rahi
chaaragar se qalb-e-muztar ko dawa milti rahi
jis kisi se bhi wafa ki bas jafa milti rahi
'umr bhar jurm-e-mohabbat ki saza milti rahi
hum guzarte hain wahan se tham kar qalb-o-jigar
jis gali jis moD par wo mah-laqa milti rahi
kitne nadan the ki us ki justuju karte rahe
jaane kis kis aashna se be-wafa milti rahi
zindagi bhar har KHushi bas bund bhar milti rahi
har ghaDi ranj-o-alam ban kar qaza milti rahi
hum taDapte hi rahe jis ki jhalak ke waste
wo 'adu se khol ke band-e-qaba milti rahi
'id ke din bhi gale milta nahin dilbar 'sahab'
banhon mein bhar-bhar mujhe KHalq-e-KHuda milti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.