Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tamashe ka na ho chhoD ke aane ka malal

Charagh Barelvi

jab tamashe ka na ho chhoD ke aane ka malal

Charagh Barelvi

MORE BYCharagh Barelvi

    jab tamāshe na ho chhoḌ ke aane malāl

    kyoñ ho phir khel ke ādāb nibhāne malāl

    aisī tanhā.ī lat hai ise bas kyā kahiye

    ghar ko hotā hai mire lauT ke aane malāl

    kaisā māyūs thā vo daur-e-ḳhizāñ bhī mat pūchh

    thā use shāḳh se pattoñ ko girāne malāl

    pahle to us ko bhulāne meñ ka.ī saal lage

    ab ka.ī saal se hai us ko bhulāne malāl

    terī duniyā taraf thī mire dil manzil

    dil ko ab tak hai usī guzre zamāne malāl

    jab tamashe ka na ho chhoD ke aane ka malal

    kyon ho phir khel ke aadab nibhane ka malal

    aisi tanhai ki lat hai ise bas kya kahiye

    ghar ko hota hai mere lauT ke aane ka malal

    kaisa mayus tha wo daur-e-KHizan bhi mat puchh

    tha use shaKH se patton ko girane ka malal

    pahle to us ko bhulane mein kai sal lage

    ab kai sal se hai us ko bhulane ka malal

    teri duniya ki taraf thi mere dil ki manzil

    dil ko ab tak hai usi guzre zamane ka malal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now