jab teri bazm se ba-dida-e-nam uThte hain
jab tirī bazm se bā-dīda-e-nam uThte haiñ
ab nahīñ ā.eñge ye khā ke qasam uThte haiñ
ham vo bezār-e-zamāna haiñ kahīñ jaate nahīñ
baiTh jaa.eñ kisī mahfil meñ to kam uThte haiñ
kitne mazlūm haiñ ham chāhne vāloñ meñ miyāñ
ham pe yāroñ ke yahāñ dast-e-sitam uThte haiñ
aap jaane kā takalluf na kareñ bahr-e-ḳhudā
aa.iye baiThiye is bazm se ham uThte haiñ
ham se mai-ḳhvār ko kyā tauba kī talqīn yahāñ
haath meñ jaam liye pīr-e-haram uThte haiñ
sādgī dīdanī hotī hai vo jab kahte haiñ
aaj is duniyā se 'mariyam' kī qasam uThte haiñ
jab teri bazm se ba-dida-e-nam uThte hain
ab nahin aaenge ye kha ke qasam uThte hain
hum wo bezar-e-zamana hain kahin jate nahin
baiTh jaen kisi mahfil mein to kam uThte hain
kitne mazlum hain hum chahne walon mein miyan
hum pe yaron ke yahan dast-e-sitam uThte hain
aap jaane ka takalluf na karen bahr-e-KHuda
aaiye baiThiye is bazm se hum uThte hain
hum se mai-KHwar ko kya tauba ki talqin yahan
hath mein jam liye pir-e-haram uThte hain
sadgi didani hoti hai wo jab kahte hain
aaj is duniya se 'mariyam' ki qasam uThte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.