Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab teri yaadon ki purwai ghazal gati hai

Qaisar Siddiqi

jab teri yaadon ki purwai ghazal gati hai

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    jab tirī yādoñ purvā.ī ġhazal gaatī hai

    phuul khil uThte haiñ tanhā.ī ġhazal gaatī hai

    raqs kartī huī aatī hai tire jism yaad

    terī TuuTī huī añgḌā.ī ġhazal gaatī hai

    gudgudātī hai tasavvur ko tire ruup dhuup

    mere jazbāt shahnā.ī ġhazal gaatī hai

    ek muddat huī is raah se guzrā thā koī

    aaj tak dil ye añgnā.ī ġhazal gaatī hai

    naġhme sargoshī ke lahrāte haiñ panghaT panghaT

    tohmateñ hañstī haiñ rusvā.ī ġhazal gaatī hai

    jhuum jhuum uThtā hai saaqī tire 'qaisar' ḳhayāl

    jab tirī āñkhoñ gahrā.ī ġhazal gaatī hai

    jab teri yaadon ki purwai ghazal gati hai

    phul khil uThte hain tanhai ghazal gati hai

    raqs karti hui aati hai tere jism ki yaad

    teri TuTi hui angDai ghazal gati hai

    gudgudati hai tasawwur ko tere rup ki dhup

    mere jazbaat ki shahnai ghazal gati hai

    ek muddat hui is rah se guzra tha koi

    aaj tak dil ki ye angnai ghazal gati hai

    naghme sargoshi ke lahraate hain panghaT panghaT

    tohmaten hansti hain ruswai ghazal gati hai

    jhum jhum uThta hai saqi tere 'qaisar' ka KHayal

    jab teri aankhon ki gahrai ghazal gati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now