Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka

Bismil Arifi

jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka

Bismil Arifi

MORE BYBismil Arifi

    jab vo kahtā hai samundar hai kināya us

    rañg yak-laḳht badaltā hai sarāpā us

    kab pukāregā bhalā naam bhañvar se merā

    kab bhalā aa.egā phir mauj meñ dariyā us

    dil to tahzīb-e-anā hai parastār magar

    kyā kare koī jo ho jaa.e ishāra us

    kab sañvāregā vo taqdīr mire lafzoñ

    kab nazar aa.egā ash.ār meñ chehra us

    ḳhud ko is tarah se gumnām kiyā hai us ne

    shahr to shahr rahā bhī nahīñ sahrā us

    maiñ to badnām sahī ḳhair koī baat nahīñ

    chāñd jo dekhtā rahtā hai darīcha us

    saath jab donoñ chale the to kahāñ chuuk huī

    merā koī bhī nahīñ aur zamāna us

    jab wo kahta hai samundar hai kinaya us ka

    rang yak-laKHt badalta hai sarapa us ka

    kab pukarega bhala nam bhanwar se mera

    kab bhala aaega phir mauj mein dariya us ka

    dil to tahzib-e-ana ka hai parastar magar

    kya kare koi jo ho jae ishaara us ka

    kab sanwarega wo taqdir mere lafzon ki

    kab nazar aaega ashaar mein chehra us ka

    KHud ko is tarah se gumnam kiya hai us ne

    shahr to shahr raha bhi nahin sahra us ka

    main to badnam sahi KHair koi baat nahin

    chand jo dekhta rahta hai daricha us ka

    sath jab donon chale the to kahan chuk hui

    mera koi bhi nahin aur zamana us ka

    Source :
    • Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 27)
    • Author : بسمل عارفی
    • Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now