jab zarurat bhar nami ban jaegi
jab zarūrat bhar namī ban jā.egī
us ke hoñToñ par hañsī ban jā.egī
ik diye se ik diyā jal jā.egā
raushnī se raushnī ban jā.egī
ġham ke maare ham mileñge ek din
apne milne se ḳhushī ban jā.egī
jhiil meñ us ko utartā dekh kar
maiñ ne sochā jal-parī ban jā.egī
krishn ban kar jab use sochūñgā maiñ
merī dhaḌkan bāñsurī ban jā.egī
ham kabhī puure jo hone ko hue
yak-ba-yak us kī kamī ban jā.egī
zindagī meñ gar vo laḌkī aa ga.ī
baat maano zindagī ban jā.egī
us kī āñkheñ yaad rah jaa.eñ agar
yaar 'az.har' shā'irī ban jā.egī
jab zarurat bhar nami ban jaegi
us ke honTon par hansi ban jaegi
ek diye se ek diya jal jaega
raushni se raushni ban jaegi
gham ke mare hum milenge ek din
apne milne se KHushi ban jaegi
jhil mein us ko utarta dekh kar
main ne socha jal-pari ban jaegi
krishn ban kar jab use sochunga main
meri dhaDkan bansuri ban jaegi
hum kabhi pure jo hone ko hue
yak-ba-yak us ki kami ban jaegi
zindagi mein gar wo laDki aa gai
baat mano zindagi ban jaegi
us ki aankhen yaad rah jaen agar
yar 'azhar' sha'iri ban jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.