Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jabin par KHak hai ye kis ke dar ki

Mubarak Azimabadi

jabin par KHak hai ye kis ke dar ki

Mubarak Azimabadi

MORE BYMubarak Azimabadi

    jabīñ par ḳhaak hai ye kis ke dar

    balā.eñ le rahā huuñ apne sar

    ubhar aa.ī haiñ phir choTeñ jigar

    salāmat barchhiyāñ tirchhī nazar

    qayāmat haqīqat jāntā huuñ

    ye ik Thokar hai mere fitnagar

    kiyā majbūr ā.īn-e-vafā ne

    na karnī thī vafā tum se magar

    na mānoge na mānoge hamārī

    udhar ho jā.egī duniyā idhar

    huī an-ban kisī se mujh pe barse

    balā.eñ mere sar dushman ke sar

    na tere husn-e-be-parvā ġhāyat

    na koī had mire zauq-e-nazar

    jabin par KHak hai ye kis ke dar ki

    balaen le raha hun apne sar ki

    ubhar aai hain phir choTen jigar ki

    salamat barchhiyan tirchhi nazar ki

    qayamat ki haqiqat jaanta hun

    ye ek Thokar hai mere fitnagar ki

    kiya majbur aain-e-wafa ne

    na karni thi wafa tum se magar ki

    na manoge na manoge hamari

    udhar ho jaegi duniya idhar ki

    hui an-ban kisi se mujh pe barse

    balaen mere sar dushman ke sar ki

    na tere husn-e-be-parwa ki ghayat

    na koi had mere zauq-e-nazar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now