aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega

Akhtar Ziai

jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    jafā rasm-e-sitam rivāj badlegā

    faqīh-e-shahr āḳhir mizāj badlegā

    maiñ jāntā huuñ badaltī rutoñ ḳhushbū se

    havā-e-dasht tirā imtizāj badlegā

    jumūd-e-marg numūd asl zindagī hai to phir

    jo kal na badlā yaqīnan vo aaj badlegā

    ḳhulūs-o-mehr-o-vafā ḳhvāb ho ga.e jaise

    na jaane kab ye nahūsat raaj badlegā

    na.e shu.ūr ke charche haiñ chaar 'aḳhtar'

    mujhe yaqīñ hai ye kohna samāj badlegā

    jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega

    faqih-e-shahr ka aaKHir mizaj badlega

    main jaanta hun badalti ruton ki KHushbu se

    hawa-e-dasht tera imtizaj badlega

    jumud-e-marg numud asl zindagi hai to phir

    jo kal na badla yaqinan wo aaj badlega

    KHulus-o-mehr-o-wafa KHwab ho gae jaise

    na jaane kab ye nahusat ka raj badlega

    nae shuur ke charche hain chaar su 'aKHtar'

    mujhe yaqin hai ye kohna samaj badlega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now