Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafa ki us se shikayat zara nahin aati

Jalal Lakhnavi

jafa ki us se shikayat zara nahin aati

Jalal Lakhnavi

MORE BYJalal Lakhnavi

    jafā us se shikāyat zarā nahīñ aatī

    vo yaad hameñ shukr-e-ḳhudā nahīñ aatī

    nikal ke tā-ba-lab āh-e-rasā nahīñ aatī

    karāhtā hai jo ab dil sadā nahīñ aatī

    hamārī ḳhaak miTTī hai kyā ḳharāb ai charḳh

    kabhī idhar ko udhar havā nahīñ aatī

    shab-e-visāl kahāñ ḳhvāb-e-nāz mauqa'

    tumhārī niiñd ko aate hayā nahīñ aatī

    'adū hamārī 'ayādat ko le ke aa.e unheñ

    kahāñ ye mar rahī ab bhī qazā nahīñ aatī

    lahad pe aa.e the do phuul bhī chaḌhā jaate

    abhī tak aap meñ bū-e-vafā nahīñ aatī

    mirī lahad ko vo un ye kah ke Thukrānā

    sadā-e-nā'ra-e-sad-marhabā nahīñ aatī

    sitam hai aur mire dil-shikan ye kahnā

    shikast-e-shīsha-e-dil sadā nahīñ aatī

    'jalāl' ham ye na māneñge use nahīñ yaad

    tujhe kabhī koī hichkī bhī kyā nahīñ aatī

    jafa ki us se shikayat zara nahin aati

    wo yaad hi hamein shukr-e-KHuda nahin aati

    nikal ke ta-ba-lab aah-e-rasa nahin aati

    karahta hai jo ab dil sada nahin aati

    hamari KHak ki miTTi hai kya KHarab ai charKH

    kabhi idhar ko udhar ki hawa nahin aati

    shab-e-visal kahan KHwab-e-naz ka mauqa'

    tumhaari nind ko aate haya nahin aati

    'adu hamari 'ayaadat ko le ke aae unhen

    kahan ye mar rahi ab bhi qaza nahin aati

    lahad pe aae the do phul bhi chaDha jate

    abhi tak aap mein bu-e-wafa nahin aati

    meri lahad ko wo un ka ye kah ke Thukrana

    sada-e-na'ra-e-sad-marhaba nahin aati

    sitam hai aur mere dil-shikan ka ye kahna

    shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati

    'jalal' hum ye na manenge tu use nahin yaad

    tujhe kabhi koi hichki bhi kya nahin aati

    Source:

    Intekhab-e-kalam  Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 77)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now