Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah

Minhaj Naqeeb

jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah

Minhaj Naqeeb

MORE BYMinhaj Naqeeb

    jafā vo karte rahe aise bevafā tarah

    gila bhī kar na sakā maiñ kabhī gila tarah

    vo sang-dil hai sitamgar hai be-muravvat hai

    jo ġham haal sune sirf vāqi.a tarah

    kisī ke bachne imkāñ nazar nahīñ aatā

    fazā meñ zahr hai phailā huā havā tarah

    maiñ shāyad uub chukā huuñ hayāt se apnī

    mujhe hayāt bhī lagtī hai ab qazā tarah

    kisī ko Das leñ to paanī na sake yaaro

    haiñ aise log yahāñ naag devtā tarah

    vo apnā jurm chhupāne ko shimr ban baiThe

    hamārā shahr bhī lagtā hai karbalā tarah

    tumhārā husn-o-shabāb in dinoñ ma.āz-allāh

    nazar jamā.ūñ to chhāne lage nasha tarah

    chaman ko phuul to phūloñ ko chāhiye ḳhushbū

    har ek shai hai yahāñ dosto gadā tarah

    'naqīb' ab koī pahchān nahīñ apnī

    yahāñ to chhā ga.ī tahzīb-e-nau balā tarah

    jafa wo karte rahe aise bewafa ki tarah

    gila bhi kar na saka main kabhi gila ki tarah

    wo sang-dil hai sitamgar hai be-murawwat hai

    jo gham ka haal sune sirf waqia ki tarah

    kisi ke bachne ka imkan nazar nahin aata

    faza mein zahr hai phaila hua hawa ki tarah

    main shayad ub chuka hun hayat se apni

    mujhe hayat bhi lagti hai ab qaza ki tarah

    kisi ko Das len to pani na pi sake yaro

    hain aise log yahan nag dewta ki tarah

    wo apna jurm chhupane ko shimr ban baiThe

    hamara shahr bhi lagta hai karbala ki tarah

    tumhaara husn-o-shabab in dinon maaz-allah

    nazar jamaun to chhane lage nasha ki tarah

    chaman ko phul to phulon ko chahiye KHushbu

    har ek shai hai yahan dosto gada ki tarah

    'naqib' ab koi pahchan hi nahin apni

    yahan to chha gai tahzib-e-nau bala ki tarah

    Source:

    Ek Lahme Ki Tazgi Ke Liye (Pg. 78)

    • Author: Minhaj Naqeeb
      • Publisher: Hali Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now