Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai

Imdad Imam Asar

jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai

Imdad Imam Asar

MORE BYImdad Imam Asar

    jafā.eñ hotī haiñ ghuTtā hai dam aisā bhī hotā hai

    magar ham par jo hai terā sitam aisā bhī hotā hai

    adū ke aate raunaq sidhārī terī mahfil

    ma.āz-allāh insāñ qadam aisā bhī hotā hai

    rukāvaT hai ḳhalish hai chheḌ hai iizā pe iizā hai

    sitam ahl-e-vafā par dam-ba-dam aisā bhī hotā hai

    hasīnoñ jafā.eñ bhī talavvun se nahīñ ḳhālī

    sitam ke ba.ad karte haiñ karam aisā bhī hotā hai

    dil-e-mahjūr āḳhir intihā hai har nahūsat

    kabhī sa.aden hote haiñ baham aisā bhī hotā hai

    na kar shikva hamārī be-sabab bad-gumānī

    mohabbat meñ tire sar qasam aisā bhī hotā hai

    na ho dard-e-judā.ī se jo vāqif us ko kyā kahiye

    hameñ vo dekh kar kahte haiñ ġham aisā bhī hotā hai

    butoñ ke milne-julne par na jaanā ai dil-e-nādāñ

    baḌhā kar rabt kar dete haiñ kam aisā bhī hotā hai

    hameñ bazm-e-adū meñ vo bulāte haiñ tamannā se

    karam aisā bhī hotā hai sitam aisā bhī hotā hai

    jagah mujh ko ka.abe meñ ḳhudā-e-pāk ne zāhid

    kahtā thā ki maqbūl-e-haram aisā bhī hotā hai

    huā kartā hai sab kuchh ai 'asar' us ḳhudā.ī meñ

    kareñ da.avā ḳhudā.ī sanam aisā bhī hotā hai

    jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai

    magar hum par jo hai tera sitam aisa bhi hota hai

    adu ke aate hi raunaq sidhaari teri mahfil ki

    maaz-allah insan ka qadam aisa bhi hota hai

    rukawaT hai KHalish hai chheD hai iza pe iza hai

    sitam ahl-e-wafa par dam-ba-dam aisa bhi hota hai

    hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin KHali

    sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai

    dil-e-mahjur aaKHir intiha hai har nahusat ki

    kabhi saden hote hain baham aisa bhi hota hai

    na kar shikwa hamari be-sabab ki bad-gumani ka

    mohabbat mein tere sar ki qasam aisa bhi hota hai

    na ho dard-e-judai se jo waqif us ko kya kahiye

    hamein wo dekh kar kahte hain gham aisa bhi hota hai

    buton ke milne-julne par na jaana ai dil-e-nadan

    baDha kar rabt kar dete hain kam aisa bhi hota hai

    hamein bazm-e-adu mein wo bulate hain tamanna se

    karam aisa bhi hota hai sitam aisa bhi hota hai

    jagah di mujh ko kabe mein KHuda-e-pak ne zahid

    tu kahta tha ki maqbul-e-haram aisa bhi hota hai

    hua karta hai sab kuchh ai 'asar' us ki KHudai mein

    karen dawa KHudai ka sanam aisa bhi hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now