Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahaalaton ki ghulami se bach nikalne ka

Shamshad shaad

jahaalaton ki ghulami se bach nikalne ka

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    jahālatoñ ġhulāmī se bach nikalne

    sañbhal bhī jaao yahī vaqt hai sañbhalne

    bulandiyāñ bhī kareñgī salām jhuk ke tumheñ

    shu.ūr tum meñ agar hai zamīñ pe chalne

    jo nā-umīdī ke bādal falak pe chhā.e hoñ

    tum intizār karo barf ke pighalne

    niDhāl ho ke lo sūraj bhī mahv-e-ḳhvāb huā

    ai chāñd taaro yahī vaqt hai nikalne

    maiñ vo charāġh huuñ jis meñ hai azm īñdhan

    nahīñ hai ḳhauf mujhe āñdhiyoñ ke chalne

    shafaq ke saa.e meñ din-rāt mil rahe haiñ gale

    baḌā hasīn hai manzar ye shaam Dhalne

    har ik savāl ma.aqūl do javāb ki 'shād'

    nahīñ ye vaqt ḳhamoshī se haath malne

    jahaalaton ki ghulami se bach nikalne ka

    sanbhal bhi jao yahi waqt hai sanbhalne ka

    bulandiyan bhi karengi salam jhuk ke tumhein

    shuur tum mein agar hai zamin pe chalne ka

    jo na-umidi ke baadal falak pe chhae hon

    tum intizar karo barf ke pighalne ka

    niDhaal ho ke lo suraj bhi mahw-e-KHwab hua

    ai chand taro yahi waqt hai nikalne ka

    main wo charagh hun jis mein hai azm ka indhan

    nahin hai KHauf mujhe aandhiyon ke chalne ka

    shafaq ke sae mein din-raat mil rahe hain gale

    baDa hasin hai manzar ye sham Dhalne ka

    har ek sawal ka maqul do jawab ki 'shad'

    nahin ye waqt KHamoshi se hath malne ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now