jahan bhi jata hun main tujhko sath rakhta hun

jahan bhi jata hun main tujhko sath rakhta hun
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
jahāñ bhī jaatā huuñ maiñ tujh ko saath rakhtā huuñ
barābarī kā ye haq mujh ko bhī to hāsil ho
ye kaise ajnabī logoñ meñ rahnā paḌtā hai
kahīñ hamāre liye bhī to koī mahfil ho
maiñ tīrgī ke samundar meñ Duub jā.ūñgā
mire charāġh mire sāmne na dhūmil ho
mujhe to maut bhī manzūr mere dariyā kī
mire safar meñ agar tū hī merā sāhil ho
makān-e-lā meñ khule haiñ hazār darvāze
makīn soch rahā hai kahāñ se dāḳhil ho
vo aa.ina tirā barsoñ se intizār meñ hai
ai us ke 'aks use jā ke mil muqābil ho
sivā.e rizq nahīñ chāhiye badan ko kuchh
magar ye bhuuk mirī ruuh meñ na shāmil ho
jahan bhi jata hun main tujh ko sath rakhta hun
barabari ka ye haq mujh ko bhi to hasil ho
ye kaise ajnabi logon mein rahna paDta hai
kahin hamare liye bhi to koi mahfil ho
main tirgi ke samundar mein Dub jaunga
mere charagh mere samne na dhumil ho
mujhe to maut bhi manzur mere dariya ki
mere safar mein agar tu hi mera sahil ho
makan-e-la mein khule hain hazar darwaze
makin soch raha hai kahan se daKHil ho
wo aaina tera barson se intizar mein hai
ai us ke 'aks use ja ke mil muqabil ho
siwae rizq nahin chahiye badan ko kuchh
magar ye bhuk meri ruh mein na shamil ho
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 90)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.