jahan darkar thi kashti wahan maine bhanwar Dala
jahāñ darkār thī kashtī vahāñ maiñ ne bhañvar Daalā
mohabbat chāhiye thī us ko maiñ ne 'ishq kar Daalā
udhar āñkhoñ meñ us kī ranj-o-māyūsī ke aañsū the
maiñ ye samjhā kiyā iz.hār ne mere asar Daalā
khilā.e phuul nok-e-ḳhār ne terī hathelī par
ye kaisā haath shāḳh-e-gul pe tū ne be-ḳhabar Daalā
ḳhayāl aayā mujhe miTTī ko jab sonā banāne kā
to kar ke reza reza ḳhaak meñ sab apnā zar Daalā
rahīñ āñkheñ na dil ab aur na sannā’ī magar dekho
ki ḳhālī ho ke maiñ ne us ko kis ḳhūbī se bhar Daalā
lage duniyā meñ dil is ke liye vahshat zarūrī thī
banā kar aadmī thoḌā sā is meñ jānvar Daalā
hayā aa.ī dubāra us kī jānib dekhte 'āzam'
ki pahlī hī nazar ne us kā pairāhan katar Daalā
jahan darkar thi kashti wahan main ne bhanwar Dala
mohabbat chahiye thi us ko main ne 'ishq kar Dala
udhar aankhon mein us ki ranj-o-mayusi ke aansu the
main ye samjha kiya izhaar ne mere asar Dala
khilae phul nok-e-KHar ne teri hatheli par
ye kaisa hath shaKH-e-gul pe tu ne be-KHabar Dala
KHayal aaya mujhe miTTi ko jab sona banane ka
to kar ke reza reza KHak mein sab apna zar Dala
rahin aankhen na dil ab aur na sanna’i magar dekho
ki KHali ho ke main ne us ko kis KHubi se bhar Dala
lage duniya mein dil is ke liye wahshat zaruri thi
bana kar aadmi thoDa sa is mein jaanwar Dala
haya aai dubara us ki jaanib dekhte 'azam'
ki pahli hi nazar ne us ka pairahan katar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.