Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak

Akhtar Madhupuri

jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak

Akhtar Madhupuri

MORE BYAkhtar Madhupuri

    jahān-e-be-sabātī meñ tamāshā-e-jahāñ kab tak

    chamakte mehr-o-mah taare zamīn-o-āsmāñ kab tak

    shab-e-ġham meñ tajallī par na itrā ai dil-e-muztar

    sitāroñ ye chashmak aur raqs-e-kahkashāñ kab tak

    samundar ḳhamoshī ek tūfāñ saath lā.egī

    kisī nā-mehrbāñ ye nigāh-e-mehrbāñ kab tak

    baḌhā.e qadam baḌh ke sargarm-e-amal ho

    yūñhī taktā rahegā sū-e-gard-e-kārvāñ kab tak

    lagā kar aag ḳhud kyoñ na bad-baḳhtī pe maiñ ro luuñ

    jalā.eñ āshiyāñ ko mere āḳhir bijliyāñ kab tak

    ye behtar hai falak honā hai jo kuchh ab vo ho jaa.e

    rahūñ terī balā-e-nā-gahāñ ke darmiyāñ kab tak

    kamāl-e-zabt par bhī ashk-e-ġham āñkhoñ se bah nikle

    bhalā roke se ruk saktī thī ye sail-e-ravāñ kab tak

    fazā-e-zīst par taarī hai 'aḳhtar' yaas aalam

    na jaane matl.a-e-ummīd hogā zarfishāñ kab tak

    jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak

    chamakte mehr-o-mah tare zamin-o-asman kab tak

    shab-e-gham mein tajalli par na itra ai dil-e-muztar

    sitaron ki ye chashmak aur raqs-e-kahkashan kab tak

    samundar ki KHamoshi ek tufan sath laegi

    kisi na-mehrban ki ye nigah-e-mehrban kab tak

    baDhae ja qadam tu baDh ke sargarm-e-amal ho ja

    yunhi takta rahega su-e-gard-e-karwan kab tak

    laga kar aag KHud hi kyon na bad-baKHti pe main ro lun

    jalaen aashiyan ko mere aaKHir bijliyan kab tak

    ye behtar hai falak hona hai jo kuchh ab wo ho jae

    rahun teri bala-e-na-gahan ke darmiyan kab tak

    kamal-e-zabt par bhi ashk-e-gham aankhon se bah nikle

    bhala roke se ruk sakti thi ye sail-e-rawan kab tak

    faza-e-zist par tari hai 'aKHtar' yas ka aalam

    na jaane matla-e-ummid hoga zarfishan kab tak

    Source:

    (Pg. 6)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now