Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

-jahan-e-KHwab-e-mehrban ki KHair ho

Shamshir haidar

-jahan-e-KHwab-e-mehrban ki KHair ho

Shamshir haidar

MORE BYShamshir haidar

    -jahān-e-ḳhvāb-e-mehrbāñ ḳhair ho

    mire zamīn-o-āsmāñ ḳhair ho

    havā rañg Dhañg kuchh aur hai

    duā karo ki āshiyāñ ḳhair ho

    vo chāhtā hai apnī ik salāmtī

    maiñ chāhtā huuñ kārvāñ ḳhair ho

    jahāñ hai tīrgī vahāñ ho raushnī

    jahāñ hai raushnī vahāñ ḳhair ho

    ye jazb-o-kaif yuuñ mustaqil raheñ

    duā hai dil ke āstāñ ḳhair ho

    -jahan-e-KHwab-e-mehrban ki KHair ho

    mere zamin-o-asman ki KHair ho

    hawa ka rang Dhang hi kuchh aur hai

    dua karo ki aashiyan ki KHair ho

    wo chahta hai apni ek salamti

    main chahta hun karwan ki KHair ho

    jahan hai tirgi wahan ho raushni

    jahan hai raushni wahan ki KHair ho

    ye jazb-o-kaif yun hi mustaqil rahen

    dua hai dil ke aastan ki KHair ho

    Source:

    Paniyon Se Alag (Pg. 39)

    • Author: Shamsheer Haider
      • Edition: 2015
      • Publisher: Rumail House of Publication
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now