jahan hai chhat meri dar bhi wahin nikalta hun
jahāñ hai chhat mirī dar bhī vahīñ nikāltā huuñ
maiñ apne qadmoñ se apnī zamīñ nikāltā huuñ
khaḌī hai phir koī dīvār mere raste meñ
lahūluhān maiñ phir se jabīñ nikāltā huuñ
ye saañp mere gale se lipaTne lagte haiñ
maiñ apne kurte se jab āstīñ nikāltā huuñ
zamāna ho gayā tū ne jise girāyā thā
maiñ us makān se ab tak makīñ nikāltā huuñ
zalīl kar mujhe lekin bahut zalīl na kar
ye zahr maiñ bhī to jā kar kahīñ nikāltā huuñ
ai bamba.ī maiñ tujhe vārtā huuñ tujh par hī
jo tū ne mujh ko diyā hai yahīñ nikāltā huuñ
nadī bhī aaj akelī hī bahnā chāhtī hai
to aaj maiñ bhī ye kashtī nahīñ nikāltā huuñ
jahan hai chhat meri dar bhi wahin nikalta hun
main apne qadmon se apni zamin nikalta hun
khaDi hai phir koi diwar mere raste mein
lahuluhan main phir se jabin nikalta hun
ye sanp mere gale se lipaTne lagte hain
main apne kurte se jab aastin nikalta hun
zamana ho gaya tu ne jise giraya tha
main us makan se ab tak makin nikalta hun
zalil kar mujhe lekin bahut zalil na kar
ye zahr main bhi to ja kar kahin nikalta hun
ai bambai main tujhe warta hun tujh par hi
jo tu ne mujh ko diya hai yahin nikalta hun
nadi bhi aaj akeli hi bahna chahti hai
to aaj main bhi ye kashti nahin nikalta hun
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 92)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.