Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

Naseem Abbasi

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

Naseem Abbasi

MORE BYNaseem Abbasi

    jahāñ jahāñ bhī havas ye jānvar jaa.e

    diloñ se mehr-o-mohabbat fasl char jaa.e

    vahīñ se huuñ maiñ jahāñ se dikhā.ī detā huuñ

    vahīñ talak huuñ jahāñ tak mirī nazar jaa.e

    hudūd-e-zāt se aage ḳhudāoñ had hai

    maiñ sochtā huuñ agar zehn kaam kar jaa.e

    bharī paḌī hai ufūnat se inch inch zamīñ

    us ek phuul se ḳhushbū kidhar kidhar jaa.e

    vo bād-e-tund hai har peḌ ye koshish hai

    havā ke saath koī dūsrā shajar jaa.e

    'nasīm' gaañv masjid meñ raat kāTegā

    ik ajnabī musāfir hai kis ke ghar jaa.e

    jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

    dilon se mehr-o-mohabbat ki fasl char jae

    wahin se hun main jahan se dikhai deta hun

    wahin talak hun jahan tak meri nazar jae

    hudud-e-zat se aage KHudaon ki had hai

    main sochta hun agar zehn kaam kar jae

    bhari paDi hai ufunat se inch inch zamin

    us ek phul se KHushbu kidhar kidhar jae

    wo baad-e-tund hai har peD ki ye koshish hai

    hawa ke sath koi dusra shajar jae

    'nasim' ganw ki masjid mein raat kaTega

    ek ajnabi sa musafir hai kis ke ghar jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now