jahan mein kuchh nahin mushkil agar kiya jae
jahāñ meñ kuchh nahīñ mushkil agar kiyā jaa.e
jo mas.ala ho use darguzar kiyā jaa.e
inhī shikasta charāġhoñ meñ raushnī hogī
inhī jale hue ḳhemoñ ko ghar kiyā jaa.e
inhī kaTe hue hāthoñ se mo'jiza hogā
isī phaTe hue siine ko sar kiyā jaa.e
zarūr hogī hameñ bhī nasīb lazzat-e-sang
junūn hai to use mo'tabar kiyā jaa.e
lahū ke paar koī muntazir hai āḳhir-e-shab
kamāl-e-zabt se aage safar kiyā jaa.e
jahan mein kuchh nahin mushkil agar kiya jae
jo masala ho use darguzar kiya jae
inhi shikasta charaghon mein raushni hogi
inhi jale hue KHemon ko ghar kiya jae
inhi kaTe hue hathon se mo'jiza hoga
isi phaTe hue sine ko sar kiya jae
zarur hogi hamein bhi nasib lazzat-e-sang
junun hai to use mo'tabar kiya jae
lahu ke par koi muntazir hai aaKHir-e-shab
kamal-e-zabt se aage safar kiya jae
- Book : Ishq (Pg. 71)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.