Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan na teri mahak ho udhar na jaun main

Nida Fazli

jahan na teri mahak ho udhar na jaun main

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    jahāñ na terī mahak ho udhar na jā.ūñ maiñ

    mirī sarisht safar hai guzar na jā.ūñ maiñ

    mire badan meñ khule jangaloñ miTTī hai

    mujhe sañbhāl ke rakhnā bikhar na jā.ūñ maiñ

    mire mizāj meñ be-mā'nī uljhaneñ haiñ bahut

    mujhe udhar se bulānā jidhar na jā.ūñ maiñ

    kahīñ pukār na le gahrī vādiyoñ sukūt

    kisī maqām pe aa kar Thahar na jā.ūñ maiñ

    na jaane kaun se lamhe bad-du'ā hai ye

    qarīb ghar ke rahūñ aur ghar na jā.ūñ maiñ

    jahan na teri mahak ho udhar na jaun main

    meri sarisht safar hai guzar na jaun main

    mere badan mein khule jangalon ki miTTi hai

    mujhe sanbhaal ke rakhna bikhar na jaun main

    mere mizaj mein be-ma'ni uljhanen hain bahut

    mujhe udhar se bulana jidhar na jaun main

    kahin pukar na le gahri wadiyon ka sukut

    kisi maqam pe aa kar Thahar na jaun main

    na jaane kaun se lamhe ki bad-du'a hai ye

    qarib ghar ke rahun aur ghar na jaun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now