Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-panah kahan mera gham samajhte hain

Bashir Farooqi

jahan-panah kahan mera gham samajhte hain

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    jahāñ-panāh kahāñ merā ġham samajhte haiñ

    qalam ke dard ko ahl-e-qalam samajhte haiñ

    faqīh-e-shahr mansab unhī ko miltā hai

    jo qasr-e-shāh ko bāb-e-haram samajhte haiñ

    ab apne dard ehsās baḌh gayā hai bahut

    kisī ke dard ko ab log kam samajhte haiñ

    uThāne do unheñ dīvār-e-dushmanī lekin

    giregī kaise ye dīvār ham samajhte haiñ

    nazar kisī taraf hai to dil kisī taraf

    tirī adā-e-taḳhātub ko ham samajhte haiñ

    zamāne dekhe haiñ is aañkh ne jo ab chup hai

    ye hoñT talḳhī-e-sahbā-o-sam samajhte haiñ

    isī liye to hameñ ġham 'atā kiye us ne

    ki us ke ġham nazākat ko ham samajhte haiñ

    ham ahl-e-shauq haiñ aise tishnagāñ meñ 'bashīr'

    jo shāḳh-e-gul ko dast-e-sanam samajhte haiñ

    jahan-panah kahan mera gham samajhte hain

    qalam ke dard ko ahl-e-qalam samajhte hain

    faqih-e-shahr ka mansab unhi ko milta hai

    jo qasr-e-shah ko bab-e-haram samajhte hain

    ab apne dard ka ehsas baDh gaya hai bahut

    kisi ke dard ko ab log kam samajhte hain

    uThane do unhen diwar-e-dushmani lekin

    giregi kaise ye diwar hum samajhte hain

    nazar kisi ki taraf hai to dil kisi ki taraf

    teri ada-e-taKHatub ko hum samajhte hain

    zamane dekhe hain is aankh ne jo ab chup hai

    ye honT talKHi-e-sahba-o-sam samajhte hain

    isi liye to hamein gham 'ata kiye us ne

    ki us ke gham ki nazakat ko hum samajhte hain

    hum ahl-e-shauq hain aise hi tishnagan mein 'bashir'

    jo shaKH-e-gul ko hi dast-e-sanam samajhte hain

    Source:

    Paron Ke Darmiyan (Pg. 32)

    • Author: Bashir Farooqi
      • Publisher: Bashir Farooqi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now