Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte

Muhammad Raza Hyderi

jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte

Muhammad Raza Hyderi

MORE BYMuhammad Raza Hyderi

    jahāñ pe chhoḌī thī baat dil vahīñ se jaarī zarūr karte

    agar vo suntā hamārī bāteñ to baat saarī zarūr karte

    ḳhudā se fursat nahīñ milegī ḳhudā ke bandoñ ko aaj varna

    ḳhudā ke bande ḳhudā ḳhātir madad hamārī zarūr karte

    azāb-e-dozaḳh ḳhauf bhī hai husūl-e-jannat shauq bhī hai

    jo ye na hote to dil se puujā ye sab pujārī zarūr karte

    ab aur himmat nahīñ hai ham meñ tumhārī chāloñ se thak chuke haiñ

    yaqīn tum par zarā bhī hotā to phir se yaarī zarūr karte

    kisī ne pūchhā ki aap hote to jaan ham par nisār karte

    dimāġh meñ thā kabhī na karte zabāñ-pukārī zarūr karte

    laboñ ko kar ġhamoñ ko kar bharam mohabbat rakh liyā hai

    vagarna le le ke naam terā ham āh-o-zārī zarūr karte

    jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte

    agar wo sunta hamari baaten to baat sari zarur karte

    KHuda se fursat nahin milegi KHuda ke bandon ko aaj warna

    KHuda ke bande KHuda ki KHatir madad hamari zarur karte

    azab-e-dozaKH ka KHauf bhi hai husul-e-jannat ka shauq bhi hai

    jo ye na hote to dil se puja ye sab pujari zarur karte

    ab aur himmat nahin hai hum mein tumhaari chaalon se thak chuke hain

    yaqin tum par zara bhi hota to phir se yari zarur karte

    kisi ne puchha ki aap hote to jaan hum par nisar karte

    dimagh mein tha kabhi na karte zaban-pukari zarur karte

    labon ko si kar ghamon ko pi kar bharam mohabbat ka rakh liya hai

    wagarna le le ke nam tera hum aah-o-zari zarur karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now