Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li

Ayyub Khan Bismil

jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li

Ayyub Khan Bismil

MORE BYAyyub Khan Bismil

    jahāñ pe sab ke zamīroñ ne ḳhud-kushī kar

    vahāñ pe merī dalīloñ ne ḳhud-kushī kar

    tumhāre lahje meñ talḳhī taab na sake

    zabāñ pe aate lafzoñ ne ḳhud-kushī kar

    huā hai zabt pe bhārī jab apne ġham bojh

    nikal ke aañkh se ashkoñ ne ḳhud-kushī kar

    ma.āshre meñ vo uryāniyat aalam hai

    ye lag rahā hai libāsoñ ne ḳhud-kushī kar

    jo masnadoñ se kisānoñ chūste the lahū

    batāo un ko kisānoñ ne ḳhud-kushī kar

    ik āftāb chamakne lagā to ghabrā kar

    yahāñ pe kitne charāġhoñ ne ḳhud-kushī kar

    diyā hai dars mohabbat maiñ ne jab 'bismil'

    lahū ke pyāse rivājoñ ne ḳhud-kushī kar

    jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li

    wahan pe meri dalilon ne KHud-kushi kar li

    tumhaare lahje mein talKHi ki tab la na sake

    zaban pe aate hi lafzon ne KHud-kushi kar li

    hua hai zabt pe bhaari jab apne gham ka bojh

    nikal ke aankh se ashkon ne KHud-kushi kar li

    maashre mein wo uryaniyat ka aalam hai

    ye lag raha hai libason ne KHud-kushi kar li

    jo masnadon se kisanon ka chuste the lahu

    batao un ko kisanon ne KHud-kushi kar li

    ek aaftab chamakne laga to ghabra kar

    yahan pe kitne charaghon ne KHud-kushi kar li

    diya hai dars mohabbat ka main ne jab 'bismil'

    lahu ke pyase riwajon ne KHud-kushi kar li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now