jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
jahāñ se aa.e the shāyad vahīñ chale ga.e haiñ
vo sāhibān-e-bashārat kahīñ chale ga.e haiñ
zamīñ pe reñgte rahne ko ham jo haiñ maujūd
jo ahl-e-sharm the zer-e-zamīñ chale ga.e haiñ
bahisht hai ki nahīñ hai ye tū hī jāntā hai
tire faqīr ba-nām-e-yaqīñ chale ga.e haiñ
dikhā.ī deñge kabhī vaqt ke jharokoñ se
vo log ab bhī yahīñ haiñ hamīñ chale ga.e haiñ
vahī huā hai jo hotā hai sone vāloñ se
ai mere dil tire pahlū-nashīñ chale ga.e haiñ
hamārī aañkh 'shanāvar' huī hai kyā namnāk
suḳhan-sarāoñ se zehrā-jabīñ chale ga.e haiñ
jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
wo sahiban-e-bashaarat kahin chale gae hain
zamin pe rengte rahne ko hum jo hain maujud
jo ahl-e-sharm the zer-e-zamin chale gae hain
bahisht hai ki nahin hai ye tu hi jaanta hai
tere faqir ba-nam-e-yaqin chale gae hain
dikhai denge kabhi waqt ke jharokon se
wo log ab bhi yahin hain hamin chale gae hain
wahi hua hai jo hota hai sone walon se
ai mere dil tere pahlu-nashin chale gae hain
hamari aankh 'shanawar' hui hai kya namnak
suKHan-saraon se zehra-jabin chale gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.