Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan se be-talluq aap se begana ho jae

Fazal Husain Sabir

jahan se be-talluq aap se begana ho jae

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    jahāñ se be-ta.alluq aap se begāna ho jaa.e

    baḌā hoshiyār hai vo jo tirā dīvāna ho jaa.e

    raheñ baaqī na us ke hosh vo dīvāna ho jaa.e

    karam jis par tirā ai jalva-e-jānāna ho jaa.e

    na kyuuñ vo be-niyāz-e-shīsha-o-paimāna ho jaa.e

    tumhārī mast mast āñkhoñ jo mastāna ho jaa.e

    adā-o-nāz aur andāz shaidā na ho jaa.e

    mirā nāzoñ paalā dil kahīñ un na ho jaa.e

    jabīn-e-shauq ho sañg-e-dar-e-jānāñ se mas aisī

    jabīn-e-shauq sañg-e-dar-e-jānāñ na ho jaa.e

    haqīqat meñ vahī dil mustahiq hai dil dukhāne

    tirī sham-e-ruḳh-e-raushan jo parvāna ho jaa.e

    karāmat piine vāloñ abhī dekhī nahīñ vaa.iz

    jahāñ jam jaa.eñ bāda-kash vahīñ paimāna ho jaa.e

    sadā-e-'sābir'-e-ġhamgīñ sunī jab apne kūche meñ

    kahā ki kyā kareñ koī agar dīvāna ho jaa.e

    jahan se be-talluq aap se begana ho jae

    baDa hoshiyar hai wo jo tera diwana ho jae

    rahen baqi na us ke hosh wo diwana ho jae

    karam jis par tera ai jalwa-e-jaanana ho jae

    na kyun wo be-niyaz-e-shisha-o-paimana ho jae

    tumhaari mast mast aankhon ka jo mastana ho jae

    ada-o-naz aur andaz ka shaida na ho jae

    mera nazon ka pala dil kahin un ka na ho jae

    jabin-e-shauq ho sang-e-dar-e-jaanan se mas aisi

    jabin-e-shauq hi sang-e-dar-e-jaanan na ho jae

    haqiqat mein wahi dil mustahiq hai dil dukhane ka

    teri sham-e-ruKH-e-raushan ka jo parwana ho jae

    karamat pine walon ki abhi dekhi nahin waiz

    jahan jam jaen baada-kash wahin paimana ho jae

    sada-e-'sabir'-e-ghamgin suni jab apne kuche mein

    kaha ki kya karen koi agar diwana ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now