Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan zamin se juDa aasman dikhta hai

Om Prabhakar

jahan zamin se juDa aasman dikhta hai

Om Prabhakar

MORE BYOm Prabhakar

    jahāñ zamīñ se juḌā āsmān dikhtā hai

    usī jagah mujhe apnā makān dikhtā hai

    panāh-e-dasht meñ aayā dabīz shahr se maiñ

    yahāñ bhī jaal shikārī machān dikhtā hai

    safar meñ aayā mire ek shahr aisā bhī

    jahāñ pe duur se amn-o-amān dikhtā hai

    nazar hamārī agar ho zarā faqīrāna

    bahut salīs ye saarā jahān dikhtā hai

    sañbhal ke dekh ki ai piir merī hastī meñ

    tujhe kahīñ bhī ḳhudā nishān dikhtā hai

    jahan zamin se juDa aasman dikhta hai

    usi jagah mujhe apna makan dikhta hai

    panah-e-dasht mein aaya dabiz shahr se main

    yahan bhi jal shikari machan dikhta hai

    safar mein aaya mere ek shahr aisa bhi

    jahan pe dur se amn-o-aman dikhta hai

    nazar hamari agar ho zara faqirana

    bahut salis ye sara jahan dikhta hai

    sanbhal ke dekh ki ai pir meri hasti mein

    tujhe kahin bhi KHuda ka nishan dikhta hai

    Source:

    Tinke Mien Ashiyana (Pg. 110)

    • Author: Om Prabhakar
      • Publisher: Shab Khoon Kitab Ghar, Allahabad
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now