aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

Mazhar Imam

jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    jaise kisī tūfān ḳhadsha bhī nahīñ thā

    kyā log the andesha-e-fardā bhī nahīñ thā

    vo kaise musāfir the ki be-zād-e-safar the

    siine pe koī bār-e-tamannā bhī nahīñ thā

    kyuuñ log mazāroñ pe duā maañg rahe the

    mujh par kisī aaseb saaya bhī nahīñ thā

    kis bāġh-e-tilismāt meñ gum ho ga.iiñ āñkheñ

    maiñ ne tirī jānib abhī dekhā bhī nahīñ thā

    kyuuñ taaza havā koī jhoñkā nahīñ aayā

    ehsās ke dar par koī parda bhī nahīñ thā

    nashsha dar-e-gandum hiran hone se pahle

    jannat se nikalnā hai ye sochā bhī nahīñ thā

    girtī huī dīvār ko sab dekh rahe the

    is shahr meñ kuchh aur tamāshā bhī nahīñ thā

    nā-karda-gunahī sazā de mujhe yā-rab

    jo kaam kiyā maiñ ne vo achchhā bhī nahīñ thā

    jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

    kya log the andesha-e-farda bhi nahin tha

    wo kaise musafir the ki be-zad-e-safar the

    sine pe koi bar-e-tamanna bhi nahin tha

    kyun log mazaron pe dua mang rahe the

    mujh par kisi aaseb ka saya bhi nahin tha

    kis bagh-e-tilismat mein gum ho gain aankhen

    main ne teri jaanib abhi dekha bhi nahin tha

    kyun taza hawa ka koi jhonka nahin aaya

    ehsas ke dar par koi parda bhi nahin tha

    nashsha dar-e-gandum ka hiran hone se pahle

    jannat se nikalna hai ye socha bhi nahin tha

    girti hui diwar ko sab dekh rahe the

    is shahr mein kuchh aur tamasha bhi nahin tha

    na-karda-gunahi ki saza de mujhe ya-rab

    jo kaam kiya main ne wo achchha bhi nahin tha

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 20)

    • Author: mazhar imaam
      • Edition: 2000
      • Publisher: anjuman taraqii urduhind urdughar
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now