aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad

Pirzada Qasim

jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad

Pirzada Qasim

MORE BYPirzada Qasim

    jaise yād-e-imbisāt-o-ġham shakebā.ī ke baad

    der tak rote rahe ham bazm-ārā.ī ke baad

    ai sarisht-e-shauq ab nāpaid ho kar dekh le

    aur kyā honā hai is hone rusvā.ī ke baad

    is qadar saffāk kab thī vaqt be-manzarī

    kor-chashmī se bhī baḌh kar dukh haiñ bīnā.ī ke baad

    ḳhud ko lene hasrat meñ bahut rusvā hue

    kuchh sivā rusvā.iyāñ haiñ ab shanāsā.ī ke baad

    be-masāfat ik safar dar-pesh rahnā chāhiye

    sochte haiñ umr bhar jāda-paimā.ī ke baad

    kal maiñ ḳhud se silsila-dar-silsila miltā rahā

    ālam-e-tanhā.ī jaise dasht-e-tanhā.ī ke baad

    hai vahī sahrā magar shādāb kitnā ho gayā

    rah-navardān-e-junūñ ābla-pā.ī ke baad

    dil meñ ab pahlī vo gunjā.isheñ baaqī nahīñ

    pahle ik dālān aa jaanā thā añgnā.ī ke baad

    jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad

    der tak rote rahe hum bazm-arai ke baad

    ai sarisht-e-shauq ab napaid ho kar dekh le

    aur kya hona hai is hone ki ruswai ke baad

    is qadar saffak kab thi waqt ki be-manzari

    kor-chashmi se bhi baDh kar dukh hain binai ke baad

    KHud ko pa lene ki hasrat mein bahut ruswa hue

    kuchh siwa ruswaiyan hain ab shanasai ke baad

    be-masafat ek safar dar-pesh rahna chahiye

    sochte hain umr bhar ki jada-paimai ke baad

    kal main KHud se silsila-dar-silsila milta raha

    aalam-e-tanhai jaise dasht-e-tanhai ke baad

    hai wahi sahra magar shadab kitna ho gaya

    rah-nawardan-e-junun ki aabla-pai ke baad

    dil mein ab pahli si wo gunjaishen baqi nahin

    pahle ek dalan aa jaana tha angnai ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now