Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jala jala ke diye pas pas rakhte hain

Hosh Jaunpuri

jala jala ke diye pas pas rakhte hain

Hosh Jaunpuri

MORE BYHosh Jaunpuri

    jalā jalā ke diye paas paas rakhte haiñ

    ham apne aap ko aksar udaas rakhte haiñ

    guloñ rañg phaloñ miThās rakhte haiñ

    kuchh aadmī bhī shajar libās rakhte haiñ

    unheñ bhī ḳhālī gilāsoñ TūTnā hai pasand

    zarūr vo bhī koī zaḳhm-e-yās rakhte haiñ

    jo log nek the shabnam se ho ga.e sairāb

    vo kyā kareñ jo samundar pyaas rakhte haiñ

    sukūt-e-āb pe kankar uchhāl kar ḳhush the

    ab aaj paanī pe ghar asaas rakhte haiñ

    jinhoñ ne abr ke saa.e kabhī nahīñ dekhe

    vo regzār bhī phūloñ aas rakhte haiñ

    havas naav badan ke bhañvar meñ Duub ga.ī

    ham aise aur ka.ī iqtibās rakhte haiñ

    jala jala ke diye pas pas rakhte hain

    hum apne aap ko aksar udas rakhte hain

    gulon ka rang phalon ki miThas rakhte hain

    kuchh aadmi bhi shajar ka libas rakhte hain

    unhen bhi KHali gilason ka TuTna hai pasand

    zarur wo bhi koi zaKHm-e-yas rakhte hain

    jo log nek the shabnam se ho gae sairab

    wo kya karen jo samundar ki pyas rakhte hain

    sukut-e-ab pe kankar uchhaal kar KHush the

    ab aaj pani pe ghar ki asas rakhte hain

    jinhon ne abr ke sae kabhi nahin dekhe

    wo regzar bhi phulon ki aas rakhte hain

    hawas ki naw badan ke bhanwar mein Dub gai

    hum aise aur kai iqtibas rakhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now