jalā ke apne badan ko dhuāñ huā thā maiñ
bikhar bikhar ke zamān-o-makāñ huā thā maiñ
tumhāre shahr ke sūraj se kaun Dartā hai
ġhamoñ kī dhuup meñ jal kar javāñ huā thā maiñ
samundaroñ ne mujhe kitne bhed samjhā.e
zamīñ pe phail ke jab be-karāñ huā thā maiñ
varaq varaq ne mire haath meñ qalam sauñpā
ġhazal ke shahr meñ jab be-zabāñ huā thā maiñ
hisār-e-dard se niklā to yuuñ huā taqsīm
kahīñ zamīn kahīñ āsmāñ huā thā maiñ
na.ī sadī ke ujāle sameT kar ai 'sabā'
na.e ufuq kī taraf hī ravāñ huā thā maiñ
jala ke apne badan ko dhuan hua tha main
bikhar bikhar ke zaman-o-makan hua tha main
tumhaare shahr ke suraj se kaun Darta hai
ghamon ki dhup mein jal kar jawan hua tha main
samundaron ne mujhe kitne bhed samjhae
zamin pe phail ke jab be-karan hua tha main
waraq waraq ne mere hath mein qalam saunpa
ghazal ke shahr mein jab be-zaban hua tha main
hisar-e-dard se nikla to yun hua taqsim
kahin zamin kahin aasman hua tha main
nai sadi ke ujale sameT kar ai 'saba'
nae ufuq ki taraf hi rawan hua tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.