Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jala kyon shama par parwana aaKHir

Jameel Ahmad Jameel

jala kyon shama par parwana aaKHir

Jameel Ahmad Jameel

MORE BYJameel Ahmad Jameel

    jalā kyoñ sham.a par parvāna āḳhir

    batā.e kyā koī dīvāna āḳhir

    haram ko kaise jā.ūñ shaiḳh sāhib

    paḌegā raah meñ mai-ḳhāna āḳhir

    kise idrāk thā hosh-o-ḳhirad

    junūñ tak rah gayā dīvāna āḳhir

    baḌī ātish-maza thī tez āñdhī

    salāmat rah gayā ḳhas-ḳhāna āḳhir

    'jamīl' āzar-parastī junūñ thā

    tumheñ raas aa gayā but-ḳhāna āḳhir

    jala kyon shama par parwana aaKHir

    batae kya koi diwana aaKHir

    haram ko kaise jaun shaiKH sahib

    paDega rah mein mai-KHana aaKHir

    kise idrak tha hosh-o-KHirad ka

    junun tak rah gaya diwana aaKHir

    baDi aatish-maza thi tez aandhi

    salamat rah gaya KHas-KHana aaKHir

    'jamil' aazar-parasti ka junun tha

    tumhein ras aa gaya but-KHana aaKHir

    Source:

    Mahfil (Pg. 72)

    • Author: Jameel Ahmad Jameel
      • Publisher: Jameel Ahmad Jameel
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now