Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jald o mah tu ghar se nikla

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

jald o mah tu ghar se nikla

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    jald o maah ghar se niklā

    shukr hai chāñd kidhar se niklā

    sāmnā chhoḌ denā ḳhurshīd

    ḳhanjar us mah kamar se niklā

    terā 'āshiq to na thā o laila

    koī majnūñ udhar se niklā

    misl-e-bū ruḳh kiyā sū-e-chaman

    phir aayā maiñ jidhar se niklā

    dil ne phir tujh se lagā.ī ho na lau

    aah phir sho'la jigar se niklā

    kis āñkhoñ pe chaḌhā thā ki ye dil

    ho ke ḳhuuñ dīda-e-tar se niklā

    zulf tak haath to pahuñchā baare

    silsila mū-e-kamar se niklā

    sair gul-rūyoñ kartā hogā

    hai 'nasīm' aaj sahar se niklā

    jald o mah tu ghar se nikla

    shukr hai chand kidhar se nikla

    samna chhoD na dena KHurshid

    KHanjar us mah ki kamar se nikla

    tera 'ashiq to na tha o laila

    koi majnun sa udhar se nikla

    misl-e-bu ruKH na kiya su-e-chaman

    phir na aaya main jidhar se nikla

    dil ne phir tujh se lagai ho na lau

    aah phir sho'la jigar se nikla

    kis ki aankhon pe chaDha tha ki ye dil

    ho ke KHun dida-e-tar se nikla

    zulf tak hath to pahuncha bare

    silsila mu-e-kamar se nikla

    sair gul-ruyon ki karta hoga

    hai 'nasim' aaj sahar se nikla

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 9)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now