Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalta hai jigar to chashm nam hai

Mushafi Ghulam Hamdani

jalta hai jigar to chashm nam hai

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    jaltā hai jigar to chashm nam hai

    kyā jaane ye kis mujh ko ġham hai

    jaave to kanisht-e-dil meñ ho kar

    to ka.abe raah do qadam hai

    dekhe hai vo dhukdhukī meñ jab se

    tab se mirā dhukdhuke meñ dam hai

    tasvīr us zulf dekh

    naqqāsh ye chiin qalam hai

    gar dīda-e-ġhaur se dekhe

    hastī jise kahte haiñ adam hai

    itne jo hue haiñ ham bad-ahvāl

    ye hazrat-e-ishq karam hai

    har-chand us hai har adā shoḳh

    manzūr apnā jo ik sanam hai

    par dāñtoñ tale zabāñ dabānā

    bedād hai qahr hai sitam hai

    samjho na faqīr 'mus.hafī' ko

    ye vaqt apne muhtasham hai

    jalta hai jigar to chashm nam hai

    kya jaane ye kis ka mujh ko gham hai

    jawe to kanisht-e-dil mein ho kar

    to kabe ki rah do qadam hai

    dekhe hai wo dhukdhuki mein jab se

    tab se mera dhukdhuke mein dam hai

    taswir tu us ki zulf ki dekh

    naqqash ye chin ka qalam hai

    gar dida-e-ghaur se tu dekhe

    hasti jise kahte hain adam hai

    itne jo hue hain hum bad-ahwal

    ye hazrat-e-ishq ka karam hai

    har-chand us ki hai har ada shoKH

    manzur apna jo ek sanam hai

    par danton tale zaban dabana

    bedad hai qahr hai sitam hai

    samjho na faqir 'mushafi' ko

    ye waqt ka apne muhtasham hai

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 237)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now