Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein

Ain Salam

jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein

Ain Salam

MORE BYAin Salam

    jaltā rahā vo umr-bhar apnī aag meñ

    tere laboñ aañch na thī jis ke bhaag meñ

    chhoTī baat thī magar ik rog ban ga.ī

    rāhat milāp meñ rahī hai na tyaag meñ

    kaise kahūñ use ye dulhan hai bahār

    phūloñ ḳhuuñ mahaktā hai jis ke suhāg meñ

    vo husn ban ke gul tapish meñ samā gayā

    hañs hañs ke jal gayā jo tire ġham aag meñ

    kahne ko merā saaz hai lekin kise ḳhabar

    kis kis dhun samā.ī hai ek ek raag meñ

    ik daaġh ban ke dil meñ sulagtā hai ai 'salām'

    vo phuul jis lams nahīñ apne bhaag meñ

    jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein

    tere labon ki aanch na thi jis ke bhag mein

    chhoTi si baat thi magar ek rog ban gai

    rahat milap hi mein rahi hai na tyag mein

    kaise kahun use ye dulhan hai bahaar ki

    phulon ka KHun mahakta hai jis ke suhag mein

    wo husn ban ke gul ki tapish mein sama gaya

    hans hans ke jal gaya jo tere gham ki aag mein

    kahne ko mera saz hai lekin kise KHabar

    kis kis ki dhun samai hai ek ek rag mein

    ek dagh ban ke dil mein sulagta hai ai 'salam'

    wo phul jis ka lams nahin apne bhag mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now