jalte jalte mera dil KHak hua hai to sahi
jalte jalte mirā dil ḳhaak huā hai to sahī
ye mohabbat kā sila mujh ko milā hai to sahī
qissa-e-mūsā-o-fir'aun ko rad kaun kare
kufr kī god meñ islām palā hai to sahī
kaash insān bhī banñe ke ye qābil hotā
aadmī ashraf-e-maḳhlūq banā hai to sahī
husn vāloñ meñ agar naam hai un kā to kyā
chāhne vāloñ meñ apnī bhī huā hai to sahī
jalte jalte mera dil KHak hua hai to sahi
ye mohabbat ka sila mujh ko mila hai to sahi
qissa-e-musa-o-fir'aun ko rad kaun kare
kufr ki god mein islam pala hai to sahi
kash insan bhi banne ke ye qabil hota
aadmi ashraf-e-maKHluq bana hai to sahi
husn walon mein agar nam hai un ka to kya
chahne walon mein apni bhi hua hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.