Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai

Shahid Kaleem

jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai

Shahid Kaleem

MORE BYShahid Kaleem

    jaltī bujhtī huī sham.oñ dhuāñ rahtā hai

    kuchh 'ajab dhund ke 'ālam meñ makāñ rahtā hai

    ḳhushk dariyā hai na dariyā pe hai pahra lekin

    har taraf pyaas ḳhūñ-rañg samāñ rahtā hai

    is bhare shahr meñ mushkil hai tajassus us

    kis ko fursat jo kahe kaun kahāñ rahtā hai

    bhūlnā sahl nahīñ vaqt sañgīnī

    zaḳhm bhartā hai magar us nishāñ rahtā hai

    merī āñkhoñ meñ haiñ sad-rang manāzir lekin

    kuchh hai mā'dūm jo ehsās-e-ziyāñ rahtā hai

    niiñd aatī hai kahāñ ujḌe makāñ meñ 'shāhid'

    koī aaseb har raat gumāñ rahtā hai

    jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai

    kuchh 'ajab dhund ke 'alam mein makan rahta hai

    KHushk dariya hai na dariya pe hai pahra lekin

    har taraf pyas ka KHun-rang saman rahta hai

    is bhare shahr mein mushkil hai tajassus us ka

    kis ko fursat jo kahe kaun kahan rahta hai

    bhulna sahl nahin waqt ki sangini ka

    zaKHm bharta hai magar us ka nishan rahta hai

    meri aankhon mein hain sad-rang manazir lekin

    kuchh hai ma'dum jo ehsas-e-ziyan rahta hai

    nind aati hai kahan ujDe makan mein 'shahid'

    koi aaseb ka har raat guman rahta hai

    Source:

    Mausam Mausam Roop (Pg. 20)

    • Author: Shahid Kaleem
      • Edition: 1990
      • Publisher: Sarvat Publication, Patna
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now