jalva-gar aaj hai vo mehr-e-munavvar kī tarah
baḳht apnā bhī chamaktā hai sikandar kī tarah
us kī raftār hai bas mauja-e-kausar kī tarah
guftugū meñ hai khanak shīsha-o-sāġhar kī tarah
kis ko yārā-e-suḳhan hai use ham bhī dekheñ
vo muḳhātab hai magar dāvar-e-mahshar kī tarah
kyā ḳhabar log kise apnā ḳhudā kah deñge
laakh but ham ne tarāshe to haiñ aazar kī tarah
kis pe is daur-e-pur-āshob meñ takiya kiije
rāhzan bhī to nazar aate haiñ rahbar kī tarah
manzil-e-faqr-o-ġhinā kyā hai ye ham se pūchho
zindagī ham ne guzārī hai qalandar kī tarah
kitne tūfān haiñ pinhāñ koī dekhe to 'habāb'
maujzan hai dil-e-shā.ir bhī samundar kī tarah
jalwa-gar aaj hai wo mehr-e-munawwar ki tarah
baKHt apna bhi chamakta hai sikandar ki tarah
us ki raftar hai bas mauja-e-kausar ki tarah
guftugu mein hai khanak shisha-o-saghar ki tarah
kis ko yara-e-suKHan hai use hum bhi dekhen
wo muKHatab hai magar dawar-e-mahshar ki tarah
kya KHabar log kise apna KHuda kah denge
lakh but hum ne tarashe to hain aazar ki tarah
kis pe is daur-e-pur-ashob mein takiya kije
rahzan bhi to nazar aate hain rahbar ki tarah
manzil-e-faqr-o-ghina kya hai ye hum se puchho
zindagi hum ne guzari hai qalandar ki tarah
kitne tufan hain pinhan koi dekhe to 'habab'
maujzan hai dil-e-shair bhi samundar ki tarah
Source:
Shikasht-e-Harf (Pg. 68)
-
Author:
Habab Hashmi
-
- Year of Publication: 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.