jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh

jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
jalva-gar fānūs-e-tan meñ hai hamārā man charāġh
be-batī aur tel ye hai roz o shab raushan charāġh
tā-abad is ko nahīñ bād-e-muḳhālif se ḳhatar
hai hamāre haath par be-parda-e-dāman charāġh
aaj kī shab lutf hai sair-e-chaman ai 'andalīb
roġhan-e-gul se huā hai har gul-e-gulshan charāġh
Dar nahīñ majnūñ ko phirne kā shab-e-hijrāñ ke biich
haq meñ us ke dīda-e-āhū hue ban ban charāġh
yak nazar us kī dil-e-mushtāq hai jin ne ki aaj
ek jalve meñ kiyā hai ḳhāna-e-darpan charāġh
jab se hai raushan diloñ ke dil pe 'hātim' kī nigāh
tab se raushan hai gā us ke dil kā be-roġhan charāġh
jalwa-gar fanus-e-tan mein hai hamara man charagh
be-bati aur tel ye hai roz o shab raushan charagh
ta-abad is ko nahin baad-e-muKHalif se KHatar
hai hamare hath par be-parda-e-daman charagh
aaj ki shab lutf hai sair-e-chaman ai 'andalib
roghan-e-gul se hua hai har gul-e-gulshan charagh
Dar nahin majnun ko phirne ka shab-e-hijran ke bich
haq mein us ke dida-e-ahu hue ban ban charagh
yak nazar us ki dil-e-mushtaq hai jin ne ki aaj
ek jalwe mein kiya hai KHana-e-darpan charagh
jab se hai raushan dilon ke dil pe 'hatim' ki nigah
tab se raushan hai ga us ke dil ka be-roghan charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.