Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main

Najma Tasadduq

jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main

Najma Tasadduq

MORE BYNajma Tasadduq

    jalvoñ ko bāryāb kiye rahī huuñ maiñ

    qalb-o-nazar ḳharāb kiye rahī huuñ maiñ

    bahkī huuñ maiñ latīf javānī ke kaif meñ

    har chiiz ko sharāb kiye rahī huuñ maiñ

    kitnā buland hai mirī ta.amīr mazāq

    tāroñ ko āftāb kiye rahī huuñ maiñ

    kyoñ maiñ gunāh-e-ishq se Dartī huuñ is qadar

    hastī ko kyoñ azaab kiye rahī huuñ maiñ

    'najma' nigāh-e-shauq ko hadd-e-nigāh tak

    jalvoñ se faiz-yāb kiye rahī huuñ maiñ

    jalwon ko baryab kiye ja rahi hun main

    qalb-o-nazar KHarab kiye ja rahi hun main

    bahki hun main latif jawani ke kaif mein

    har chiz ko sharab kiye ja rahi hun main

    kitna buland hai meri tamir ka mazaq

    taron ko aaftab kiye ja rahi hun main

    kyon main gunah-e-ishq se Darti hun is qadar

    hasti ko kyon azab kiye ja rahi hun main

    'najma' nigah-e-shauq ko hadd-e-nigah tak

    jalwon se faiz-yab kiye ja rahi hun main

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 169)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now