janab-e-ali bichhaDne ki koi baat nahin
janāb-e-'ālī bichhaḌne kī koī baat nahīñ
hamāre siine meñ ik dil hai pāñch saat nahīñ
bahut jhijhak ke kiyā hai musāfaha tum ne
tumhāre haath meñ shāyad tumhārā haath nahīñ
zamāne bhar se ta'alluq kī parda-dārī hai
kise batā.eñ ki ab tū hamāre saath nahīñ
hamārī zaat se bāhar hameñ talāsh karo
hamārī zaat ke andar hamārī zaat nahīñ
maiñ chāhtā huuñ ta'alluq bahāl karnā magar
tumhārā dil hī nahīñ hai to koī baat nahīñ
ham apne pairoñ ko ye baat kaise samjhā.eñ
ab us galī meñ hamāre mu'āmalāt nahīñ
janab-e-'ali bichhaDne ki koi baat nahin
hamare sine mein ek dil hai panch sat nahin
bahut jhijhak ke kiya hai musafaha tum ne
tumhaare hath mein shayad tumhaara hath nahin
zamane bhar se ta'alluq ki parda-dari hai
kise bataen ki ab tu hamare sath nahin
hamari zat se bahar hamein talash karo
hamari zat ke andar hamari zat nahin
main chahta hun ta'alluq bahaal karna magar
tumhaara dil hi nahin hai to koi baat nahin
hum apne pairon ko ye baat kaise samjhaen
ab us gali mein hamare mu'amalat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.