Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jang par aur na adawat pe yaqin rakhta hun

Payam Fatehpuri

jang par aur na adawat pe yaqin rakhta hun

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    jang par aur na adāvat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    maiñ huuñ insān mohabbat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    kab maiñ sarmāya-o-daulat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    zindagī ke liye mehnat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    āsmāñ bhī tire qadmoñ pe jhukegā ik din

    ai vatan maiñ tirī azmat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    dharm ke naam nīlām mubārak tum ko

    kab maiñ maz.hab tijārat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    zinda tārīḳh unvāñ hai shahīdoñ lahū

    azmat-e-zauq-e-shahādat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    haram-o-dair-o-kalīsā taraf kyoñ jā.ūñ

    maiñ to insāñ mohabbat pe yaqīñ rakhtā huuñ

    jang par aur na adawat pe yaqin rakhta hun

    main hun insan mohabbat pe yaqin rakhta hun

    kab main sarmaya-o-daulat pe yaqin rakhta hun

    zindagi ke liye mehnat pe yaqin rakhta hun

    aasman bhi tere qadmon pe jhukega ek din

    ai watan main teri azmat pe yaqin rakhta hun

    dharm ke nam ka nilam mubarak tum ko

    kab main mazhab ki tijarat pe yaqin rakhta hun

    zinda tariKH ka unwan hai shahidon ka lahu

    azmat-e-zauq-e-shahadat pe yaqin rakhta hun

    haram-o-dair-o-kalisa ki taraf kyon jaun

    main to insan ki mohabbat pe yaqin rakhta hun

    Source:

    Dayar-e-Saba (Pg. 73)

    • Author: Payam Fatehpuri
      • Publisher: Payam Fatehpuri
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now