jangal ki raat shahr se kuchh muKHtalif na thi
jangal kī raat shahr se kuchh muḳhtalif na thī
tanhā.iyoñ ke jaal meñ vo bhī phañsī milī
aisī thī tez shahr ke gumbad kī raushnī
āñkhoñ kā merā nuur hī le kar chalī ga.ī
nannhī sī dhuup zard sā chehra liye hue
khiḌkī kī jāliyoñ pe milī nāchtī huī
kam-māya is ko jaan ke hargiz na chheḌiye
sad-mahshar-e-ḳhayāl hai fitna hai aadmī
poshīda mere jism ke andar ye kaun hai
har shab kare hai jaag ke ḳhvāboñ kī rahzanī
'ḳhātir' varaq varaq thā mirī ziist kā siyāh
anjām-e-kār jaan ke kholī na Diary
jangal ki raat shahr se kuchh muKHtalif na thi
tanhaiyon ke jal mein wo bhi phansi mili
aisi thi tez shahr ke gumbad ki raushni
aankhon ka mera nur hi le kar chali gai
nannhi si dhup zard sa chehra liye hue
khiDki ki jaliyon pe mili nachti hui
kam-maya is ko jaan ke hargiz na chheDiye
sad-mahshar-e-KHayal hai fitna hai aadmi
poshida mere jism ke andar ye kaun hai
har shab kare hai jag ke KHwabon ki rahzani
'KHatir' waraq waraq tha meri zist ka siyah
anjam-e-kar jaan ke kholi na Diary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.