jangalon ka sahilon ka wadiyon ka kya karen
jangaloñ kā sāhiloñ kā vādiyoñ kā kyā kareñ
jab maza hai rāstoñ meñ manziloñ kā kyā kareñ
aadmī kā kyā kareñ ye sochtī haiñ 'aurateñ
aadmī ye sochte haiñ 'auratoñ kā kyā kareñ
zindagī kā aa.ina jab har ghaḌī ho sāmne
ghar meñ rakh kar ham bhalā phir ā.inoñ kā kyā kareñ
ham bhī auroñ kī tarah mahfūz jī lete magar
kyā kareñ ham kyā kareñ in hausloñ kā kyā kareñ
'ādatan kar hī diyā ham ne to un kā zikr phir
dil ko to ham rok leñ par 'ādatoñ kā kyā kareñ
dostī ko chhoḌ kar har kaam yāroñ ne kiyā
aap hī batlā.īye in dostoñ kā kyā kareñ
aap kyuuñ karte nahīñ haiñ karne vaale kaam ko
aap kī 'kāmil' inhīñ ham ġhaflatoñ kā kyā kareñ
jangalon ka sahilon ka wadiyon ka kya karen
jab maza hai raston mein manzilon ka kya karen
aadmi ka kya karen ye sochti hain 'auraten
aadmi ye sochte hain 'auraton ka kya karen
zindagi ka aaina jab har ghaDi ho samne
ghar mein rakh kar hum bhala phir aainon ka kya karen
hum bhi auron ki tarah mahfuz ji lete magar
kya karen hum kya karen in hauslon ka kya karen
'adatan kar hi diya hum ne to un ka zikr phir
dil ko to hum rok len par 'adaton ka kya karen
dosti ko chhoD kar har kaam yaron ne kiya
aap hi batlaiye in doston ka kya karen
aap kyun karte nahin hain karne wale kaam ko
aap ki 'kaamil' inhin hum ghaflaton ka kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.