Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jarasimon bhari sui se tan ko si rahe hain

Asim nadeem Asi

jarasimon bhari sui se tan ko si rahe hain

Asim nadeem Asi

MORE BYAsim nadeem Asi

    jarāsīmoñ bharī suuī se tan ko rahe haiñ

    davā.ī zahr hai zahr bhī to rahe haiñ

    hamārā saañs sartān ban jaa.e na dil

    ham aisī habs-āmeza havā meñ rahe haiñ

    qarantīna meñ rakhe hoñ ehrāmoñ ke andar

    badan 'ibrat sarā māhaul par taarī rahe haiñ

    tag-o-tāz-e-nafas hai maut ke madd-e-muqābil

    lahū insān nādīda kiiḌe rahe haiñ

    sarisht-e-ādmī meñ hārnā shāmil nahīñ hai

    masā.il jo bhī haiñ hālāt jaise bhī rahe haiñ

    to kyā hai gar milā deñ jhuuT aur sachchā.ī ke jiin

    vo aise tajrabe vaise bhī to kar rahe haiñ

    na.ī duniyāoñ ke jo password soche haiñ ham ne

    vo 'āsim' zindagī ibtidā.ī rahe haiñ

    jarasimon bhari sui se tan ko si rahe hain

    dawai zahr si hai zahr bhi to pi rahe hain

    hamara sans hi sartan ban jae na dil ka

    hum aisi habs-ameza hawa mein ji rahe hain

    qarantina mein rakhe hon ya ehramon ke andar

    badan 'ibrat sara mahaul par tari rahe hain

    tag-o-taz-e-nafas hai maut ke madd-e-muqabil

    lahu insan ka nadida kiDe pi rahe hain

    sarisht-e-admi mein haarna shamil nahin hai

    masail jo bhi hain haalat jaise bhi rahe hain

    to kya hai gar mila den jhuT aur sachchai ke jin

    wo aise tajrabe waise bhi to kar hi rahe hain

    nai duniyaon ke jo password soche hain hum ne

    wo 'asim' zindagi ki ibtidai ki rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now