Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaras-e-dil ki sada ban ke chale

Manzoor Arif

jaras-e-dil ki sada ban ke chale

Manzoor Arif

MORE BYManzoor Arif

    jaras-e-dil sadā ban ke chale

    agar rāh-numā ban ke chale

    mor-e-be-māya raftār chalūñ

    agar ābla-pā ban ke chale

    aarzū hai ki banūñ maiñ dariyā

    aur mujh pe havā ban ke chale

    aise gulshan meñ guzārūñ koī shab

    jahāñ bād-e-sabā ban ke chale

    maiñ rahūñ dasht meñ kar aur

    chāñdnī-shab meñ balā ban ke chale

    aql-o-dānish tire qadmoñ pe nisār

    agar hosh-rubā ban ke chale

    jaras-e-dil ki sada ban ke chale

    tu agar rah-numa ban ke chale

    mor-e-be-maya ki raftar chalun

    tu agar aabla-pa ban ke chale

    aarzu hai ki banun main dariya

    aur tu mujh pe hawa ban ke chale

    aise gulshan mein guzarun koi shab

    tu jahan baad-e-saba ban ke chale

    main rahun dasht mein ja kar aur tu

    chandni-shab mein bala ban ke chale

    aql-o-danish tere qadmon pe nisar

    tu agar hosh-ruba ban ke chale

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 318)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now