Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-awargi-o-ranj-e-masafat ka sharik

Saima Zaidi

jashn-e-awargi-o-ranj-e-masafat ka sharik

Saima Zaidi

MORE BYSaima Zaidi

    jashn-e-āvārgī-o-ranj-e-masāfat sharīk

    dasht dasht huā hai mirī vahshat sharīk

    ab palaTne safar hai to nazar aatā nahīñ

    vo jo rahtā thā hamesha mirī ujlat sharīk

    ham ki har qarn meñ mil mil ke bichhaḌne vaale

    aa ḳhudā ko bhī kareñ apnī rivāyat sharīk

    sirf āñkhoñ ke namak ne nahīñ sīñchī hai ġhazal

    dāna-e-dil bhī hai chakkī mashaqqat sharīk

    chhoḌ jaatā hai kisī vaqt to dil bhī tanhā

    kaun hotā hai mirī jaañ shab-e-vahshat sharīk

    rang se rang milā aur huā ham-āmez

    yuuñ banā vasl tire hijr rāhat sharīk

    batā zard zamānoñ meñ bhaTakte hue chāñd

    kaun rahtā hai is ā.īne hairat sharīk

    munjamid vaqt ke TukḌoñ meñ pighaltī huī maiñ

    aur ik lams mire lams hiddat sharīk

    jashn-e-awargi-o-ranj-e-masafat ka sharik

    dasht ka dasht hua hai meri wahshat ka sharik

    ab palaTne ka safar hai to nazar aata nahin

    wo jo rahta tha hamesha meri ujlat ka sharik

    hum ki har qarn mein mil mil ke bichhaDne wale

    aa KHuda ko bhi karen apni riwayat ka sharik

    sirf aankhon ke namak ne nahin sinchi hai ghazal

    dana-e-dil bhi hai chakki ki mashaqqat ka sharik

    chhoD jata hai kisi waqt to dil bhi tanha

    kaun hota hai meri jaan shab-e-wahshat ka sharik

    rang se rang mila aur hua ham-amez

    yun bana wasl tere hijr ki rahat ka sharik

    tu bata zard zamanon mein bhaTakte hue chand

    kaun rahta hai is aaine ki hairat ka sharik

    munjamid waqt ke TukDon mein pighalti hui main

    aur ek lams mere lams ki hiddat ka sharik

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now