Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai

Shamim Karhani

jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    jashn-e-hayāt ho chukā jashn-e-mamāt aur hai

    ek barāt aa chukī ek barāt aur hai

    ishq ik zabān par laakh tarah bandisheñ

    aap to jo kaheñ bajā aap baat aur hai

    piine ko is jahān meñ kaun mai nahīñ magar

    ishq jo bāñTtā hai vo āb-e-hayāt aur hai

    zulmat-e-vaqt se kaho hasrat-e-dil nikāl le

    zulmat-e-vaqt ke liye aaj raat aur hai

    un ko 'shamīm' kis tarah nāma-e-ārzū likheñ

    likhne baat aur hai kahne baat aur hai

    jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai

    ek baraat aa chuki ek baraat aur hai

    ishq ki ek zaban par lakh tarah ki bandishen

    aap to jo kahen baja aap ki baat aur hai

    pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar

    ishq jo banTta hai wo aab-e-hayat aur hai

    zulmat-e-waqt se kaho hasrat-e-dil nikal le

    zulmat-e-waqt ke liye aaj ki raat aur hai

    un ko 'shamim' kis tarah nama-e-arzu likhen

    likhne ki baat aur hai kahne ki baat aur hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now