Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawab ban na saka arz-e-haal hi na kiya

Nashir Naqvi

jawab ban na saka arz-e-haal hi na kiya

Nashir Naqvi

MORE BYNashir Naqvi

    javāb ban na sakā arz-e-hāl na kiyā

    use ghuTan hai ki maiñ ne savāl na kiyā

    ham aise peḌ ki sūraj na chhāñv rok sakā

    jhulastī dhuup meñ apnā ḳhayāl na kiyā

    adā ḳhulūs se ham ne rasm-e-tark-e-vafā

    udaas na hue aur malāl na kiyā

    udhar thā shor-e-jafā intizār-e-radd-e-amal

    idhar sukūt thā chehre ko laal na kiyā

    safar meñ auroñ ko manzil milī to shaad hue

    chale to aise ki apnā ḳhayāl na kiyā

    jawab ban na saka arz-e-haal hi na kiya

    use ghuTan hai ki main ne sawal hi na kiya

    hum aise peD ki suraj na chhanw rok saka

    jhulasti dhup mein apna KHayal hi na kiya

    ada KHulus se ki hum ne rasm-e-tark-e-wafa

    udas hi na hue aur malal hi na kiya

    udhar tha shor-e-jafa intizar-e-radd-e-amal

    idhar sukut tha chehre ko lal hi na kiya

    safar mein auron ko manzil mili to shad hue

    chale to aise ki apna KHayal hi na kiya

    Source:

    Angnai (Pg. 103)

    • Author: Nashir Naqvi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now